Mera naam Rakesh hai. Main 35 saal ka hoon, aur Shamli ke Gagang Vihar mein apni maa, patni aur 5 saal ke bete Ritvik ke saath rehta hoon.
Main kaafi chota tha jab mere pitaji guzar gaye. Tab meri maa ne hi hum sabki zimmedaari uthayi thi. Unhone bahut mushkil waqt dekha hai—ek maa jo maa bhi thi, aur kamane wali bhi. Bas ek hi sapna hai mera: Apni maa ko ek aaram ki zindagi dena. Aur apni patni ko ek secure life aur Ritvik ko achhe school mein padhana.
Kaam ki talash main Delhi jaana pada
Kuch saal pehle, main Delhi gaya tha electrician ka kaam dhoondhne. Ek shop mein kaam mila. 3 saal tak wahan kaam kiya, par paisa kam aur kharch zyada. Rent, ghar ka saman, aur ghar bhejne ke baad kuch bachta hi nahi tha.
Tab samjha – shahar mein reh ke guzara mushkil hai, kamaai toh wahan bhi puri nahi hoti.
Phir Shamli laut aaya. Apna electrician ka kaam chalu kiya. Par sach bolun toh, yahan bhi roz mehnat karne ke baad bhi Rs. 15,000 kama pana mushkil hota tha.
Zindagi ka mod: TV showroom mein wiring karte waqt hui ek mulaqat
Ek din main ek TV showroom mein wiring ka kaam kar raha tha. Wahan ke owner ne mujhse baat karni shuru ki. Bahut hi seedhe-saadhe aur achhe insaan the.
Puchhne lage mere ghar ke baare main aur bachhe ke baare main. Aur fir bole kitni kamai kar lete ho mahine main.
Maine sach bata diya — “Kabhi Rs.15,000 mil jaate hain, kabhi usse bhi kam.”
Phir unhone pucha: “Naya kaam seekhega? Side mein kuch aur karega?”
Main thoda jhijhka tha, par bola, “Seekh loonga agar samajh aaye toh.”
Lunch ke time unhone mujhe ek aadmi se milwaya — Prakash naam tha uska. Prakash ne bataya ki woh insurance ka kaam karta hai aur dusron ko bhi insurance agent banne mein madad karta hai.
Insurance ka kaam? Ghar se? Shamli se?
Maine bola, “Par mujhe toh Shamli chhodna nahi.” Usne muskara ke bola, “Arey bhai, insurance ka kaam toh ghar se bhi ho sakta hai. Bas thoda training aur phone chahiye.”
Maine BA kiya hai, toh laga shayad main bhi kar sakta hoon. Prakash ne mujhe IC38 exam ke baare mein bataya—bola:
-
Sirf 40% chahiye pass hone ke liye
-
Exam online hota hai
-
Fail ho jaaye toh dobara bhi de sakte ho
-
Aur sabse achhi baat — sab kuch Hindi mein samjhaya jaata hai
Also Check: Benefits of Becoming Insurance Agent
Insurancedekho se mila saath
Prakash khud InsuranceDekho ke saath kaam karta tha. Usne meri details di, aur agli subah hi InsuranceDekho se call aaya.
Unhone pura process simple Hindi mein samjhaya. Bas kuch documents chahiye the:
-
Aadhaar Card
-
12th ki marksheet
-
Photo
Ek hafte ki online training hui—simple language mein, jisme basic insurance, customer se kaise baat karein, sab kuch bataya gaya.
Also Check: POSP Agent Certification
Meri pehli sale - dost se hui shuruaat
Mera ek dost Delhi se apne parivaar se milne aaya tha. Maine usse health insurance ke baare mein bataya, aur wo meri pehli policy sale bani.
Uske baad confidence aaya. Dheere-dheere logon ke sawalon ka jawab dena seekh gaya. Aur mujhe samajh aaya—log sirf plan nahi, bharosa kharidte hain.
Aaj main insurance agent hoon
Aaj 1.5 saal ho gaye hain InsuranceDekho ke saath kaam karte hue. Main insurance agent hoon, apne electrician ke kaam ke saath-saath.
Maine ek achhi saving bhi ki hai. Aur Ritvik ko achhe school mein admission dilwa diya hai. Maa ko bhi kuch financial stress se bahar nikal paya hoon.
Agar aap bhi Shamli mein ho, aur kuch naya shuru karna chahte ho…
Toh main kehna chahunga: Ye kaam aapke liye hai.
-
Na koi investment chahiye
-
Na office jaane ki zarurat
-
Na kisi bade sheher jaane ki majboori
Sirf ek smartphone, thoda time, aur thodi himmat chahiye.
Main ab sirf electrician nahi hoon—main ek proud insurance advisor hoon. Aur yehi meri jeet hai.
............................................................................................................................................................................................................................
Aap bhi apni kahani likh sakte ho. Shuru karo apna insurance career. InsuranceDekho ke saath—Ghar se, Apne sheher se.